#money management #shorts #amul #stockmarketindia #stockmarketnews #sharebazar #financeshorts #finshorts #adigitalblogger
Story of Amul
Wo enterprise jisko ek do ya dus nahi baki 36 lakh se jyada log milkar chalate hai, aur jis enterprise ka naam sun hamare dimag me aata butter, ghee, milk aur icecream, ji haan hum baat kar rahe hai Amul ki,
1946 me jab gujarat ke log sardar vallabh bhai patel ke paas apne doodh ka sahi daam na milne ki samasya lekar aaye toh patel ji ne unhe khud ki hi cooperative enterprise kholne ko kaha, aur shuruaat huyi Kaira District Co-operative Milk Producers Union ki, jo aage chalkar bani AMUL,
1949 me jab Dr. Vergese Kurien ne Amul k sambhali toh Amul ka enterprise tezi se badhne laga, aur 1952 me Amul Dairy ke liye nayi machines kharidi gayi jiski wajah se 1970 tak aate aate india me itna doodh produce hone laga ki white revolution aa gaya,
Aur tab se India me roz 30 lakh liter se jyada milk produce hota hai aur india pure world me Milk production me number 1 ban gaya hai,
Aaj Amul ke desh bhar me 31 milk plants hai, jisme 36 lakh milkman roz doodh ka contribution karte hai aur ye 36 lakh milkman Amul ki cooperative society ka hissa hai,
Amul har saal 60000 crore se jyada turnover karta hai aur ye India ki number 1 aur world ki 9th badi dairy enterprise hai,
Amul duniya mein cooperative society yaani aam logon ke dwara chalai gayi enterprise ka ek bada aur successful example hai.
money management,money management shorts,stock industry shorts,stock industry channel,a digital blogger shorts,money management shorts channel,stock industry shorts channel, amul share price
Disclaimer:
If you own the YouTube channel related to this video and do not want it to be featured here, you can contact us through our contact page. We will gladly remove it without questioning your reasons.